Sunday, March 1, 2015

Sayari by Hariom Jorwal

Armaan mere jag jaahi hai,
Aur nazro me pyar apaar hai,
par wo kinara hai us sagar ka,
jo meri pahuch se bahar hai...


Sona to aakhir me sabko hi hai,
Mai jindagi jag k bitaana chahta hu,
Auro k raasto par to sab chalte hai,
Mai khud k raaste banana chahta hu...


Samjh ni aata mai zindagi se paresan hu ya zindagi mujse paresan hai,
Bus itna janta hai hu ki mai haar k bhi jeet raha hu or wo jeet ke bhi haar rahi hai...


kuch palo ki zindgi me, har pal tu aise chal, 
ki tere peeche aane wale,
bhool kar bhi rasta na bhool paye...


kaanto pe kaante pathar pe pathar,
kabhi is path par to kabhi us dagar,
chubhte rahe in kadmo me teri marji se,
par ab to do phool bichha de mere maula...


Roj manjil k pass jake ruk jaya karta hu,
Aakhri kadam par ladkhadaya karta hu,
Sochta hu is kadam k baad fir kya...
Is kya k sannate se ghabra ke
roj mai laut aaya krta hu...


kuch hado ko paar karna humne bhi chaha tha,
khusiyo ko hazaar karna humne bhi chaha tha,
riwazo ki bediya bahut hai hamare samaaj me,
kuch bediyo ko bezaar karna humne bhi chaha tha.

No comments:

Post a Comment